Haan Judai Se Darta Hai Dil - Kareeb Lyrics


Haan Judai Se Darta Hai Dil

Haan judaai se darta hai dil
Maut se to main darta nahin
Aur darta to sun le sanam
Pyar tujh se main karta nahin...
Main akela na reh paoonga
Door tak raat hi raat hai
Zindagi ek alag cheez hai
Zinda rehena alag baat hai
Umre kaise guzar payegee
Ek pal jab guzarta nahin...
Gham ka mausam guzarta nahin
Zakham yaadon ka bharta nahin
Raat parbat hai kat ti nahin
Din hai dariya utar - ta nahin
Meri neendon mein a jayegi
Dhoop suraj ka khanjar liye
Todne mera dil aayega
Chand haathon mein paththar liye
Dil darata hai mujh ko magar
Main yakin dil pe karta nahin...

1 Comments