Tezaab Lyrics

Kaash Yeh Pyar Na Hota - Tezaab Lyrics


Kaash Yeh Pyar Na Hota

(aankh na milti pass na aate
chahat ka izhaar na hota
kash yeh pyar na hota - 3 ) - 2

raah parayi jo apnaai
dur hui apni mazil
aaya woh toofan ke jismein
doob gaya dil ka saahil
bhool na hoti hamse jo aaisi
jeevan ek majhdhaar na hota
kash yeh pyar na hota - 3

ashko se jo mit na paye
daman par woh daag laga
hamko kitne der mein sab kutch
khone ka ehsaas hua
pachtave ki aag na jalti
seene mein armaan na hota
kash yeh pyar na hota - 3
aankh na milti pass na aate
chahat ka izhaar na hota
kash yeh pyar na hota - 3

5 Comments