Us Paar Hai Meri Jaan - Panga Naa Lo Lyrics


Us Paar Hai Meri Jaan

(uss paar hai meri jaan - 2
iss paar bass jism hai
koi yeh bata de (main kahaan hoon - 2)) - 2

chaar deewaaron ki ghutan se
ji chhuda kar main yeh kahoon
lab sile hai kaise kahoon
dil mein mere bass tu hi tu
koi yeh bata de (main kahaan hoon - 2)

saat rango ke safar mein
haath tera yuun thaam kar
titali bankar main udoon
jameen par paanv rakhane se daroon
tu hi yeh bata de main kya karoon, kaise kahoon
uss paar hai meri jaan - 2
iss paar bass jism hai
koi yeh bata de (main kahaan hoon - 4)

4 Comments